Thursday, December 18, 2008

tu aur hakikat

तू और हकीक़त ------
teri harkato me chhupa ek afsana dekha hai,
tujhe kya dekha hai, sara zamana dekha hai,

tujhe bayan karne ko kya mein likhta,
syahi ka har katra begana dekha hai,

garm hatheliyo se tujhe sard mausam me kya bachata,
tera rua rua us dhoop me mastana dekha hai,

kapdo me gande dhabbe aksar ho jate hai,
us hakikat me tera salika sayana dekha hai,

khuda ne khoob navaja hai in do masum hotho se,
ki nikla har labz inse, mastana dekha hai,

khuda ki kisi galti ka anzaam ho shayad,
ki tere aks me , jurmana dekha hai. -puneet

Wednesday, December 3, 2008

mein bekhabar

kyu tadpta hai dil tere didar ko,
hoke maloom hai dil bekhabar tera,

diye ja rahe hai paigam kyu bahoro ko,
hoke maloom hai gumshuda ghar tera,

kadam khudbkhud rubru ho jate hai teri raho se,
hoke maloom hai door shahar tera,

har dastak pe tere aane ki hai khwahish,
hoke maloom hai nahi idhar ghar tera,

sabb-e-ishq parwana ho chala mein,
hoke maloom hai bedard kahar tera, -puneet